~~YAAD~~
Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin
ik pal nahin jab tumhe humne pukaara nahin
meri naakaamiyon ka itna bhi gam na kijiye
agar aap jeete hain to main haara nahin
ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se
maine abhi aapka gam dil se utaara nahin
tere bin youn kat rahi dariya-e-zindagi mein
kashti bhi hai maajhi bhi hai,kinaara nahin
kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala
aansu hai mera ye koi toota hua taara nahin
kisko gale lagaa ke rooyen na-muraad hum
is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin
mareez-e-ishq hai tamannai khudkushi ka ab
gehre hain dil ke zakhm,aur koi chaara nahin
wo aa ke poonchh den aansu hamari aankhon se
itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin
itna hai bad-naseeb "KaMaL" ka ye jaha.n
loota hai zindagi ne jise maut ne maara nahin
~~Fasaane~~
kitaabon mein mere fasaane dhoondte hain
naadaan hain guzre zamaane dhoondte hain
jab woh the....!! talaash-e-zindagi bhi thi
ab to maut ke thikaane dhoondte hain..!!
kal khud hi apni mehfil se nikaala tha..!!
aaj hue se deewaane dhoondte hain...!!
musaafir be-khabar hain teri aankhon se
tere shahar mein maikhaane dhoondte hain
tujhe kya pataa ae sitam dhaane waale
hum to rone ke bahaane dhoondte hain...!!
unki aankhon ko youn dekho na "KaMaL"
naye teer hain...!! nishaane dhoondte hain..!!
No comments:
Post a Comment